Friday, January 20, 2006

Ittafaq ya Mazaak



Tumse baat hui,kya haseen ittafaq tha
kya din me haal,kya aalam tha raat ka
raahon me jaise phool barasne lage
har su teri aawaaz sun ne ko tarasne lage
kismaat se jo maanga ,bas tera deedar tha
tujh se rubaroo hone ka intezaar tha
khair khuda ka jo ,tujh se mila diya
zindagi ka haseen taufa de diya
khatm yahan par ho jaata phasana to achha hota
ab tujh ko bhulana namumkin se kya kam tha ?
meri raatein ,tere jalwoon se bhari thi
khwaabon me tera husn naachta tha.
Hosh se ab haamaara waasta na raha
Harsu tera khayaal aata raha
Dil ne kaha badte hue kadmon ko rok loon
Tujhse mohabbat karne se pehle tujh se pooch to loon
Kya kahoon tera jawaab mujh par kya dha gaya
Tu bhi mujhe chahti hai,ye ishaare se keh gaya
Ab to meri khushi ki had na rahi
Jis par khada tha,who zameen zameen na rahi
Dil me aatish baazi
zindagi me raunak si cha gayi
Tera naam leke jee ta raha
Mohabbat ke jaam pee ta raha
Mere sabr ki jab intiha hui
Dil me aarzoo jaag gayi
Tere labon se mujhe mera naam sunna tha
Ek hazrat thi ,ek ummed thi
Par is maasoom dil ko kya samjhaaoon
In ujaalon ko bhi marna tha
Abhi mujhe tera inkaar bhi sunna tha
Qayamat tha who lamha ,jo tune mere pyaar ko thukraa diya
Apne dil ki duniya me ,kisi aur ko basa liya
Mere aankhon ke saamne gubaar sa cha gaya
Mere gham ki koi had na rahi
Jis par mai khada tha who zameen zameen na rahi
Aasma mere gham ko samet kar baras ne laga
Meri rooh ,jalne lagi ,
Zindagi khade khade pighalne lagi
Aansoo ban ke khanjar chubh ne lage
Hum tere siva,maut ko taras ne lage
Kya din me tha haal ,kya aalam tha raat ka
Tum se mohabbat hui,
Yeh zindagi kya khoob tera mazaak tha !!!!



2 Comments:

Blogger div said...

hi nice poem again:)..btw i hav tagged u for something..check my blog for the details..if u like it ,do the tag..

8:23 AM, January 22, 2006  
Blogger Babumoshayar said...

@ akheel
thx buddy,uve been always suppoerting and appreciating small efforts of mine.well to describe u in short u r the right person for moral suppoert.

5:37 AM, February 20, 2006  

Post a Comment

<< Home